Karwane Aza Tours

Karwane Aza Tours Organisers Of Umrah & Ziyarat..

02/04/2022

*🌹 MAHE RAMDHAN MUBAARAK 💐*
*⏩ Har Saal Ki Tarah Is Saal Bhi Mahe Ramdhan Ke Mahine Ke Aamaal, Namaz & Dua Rozaanaa Post Ki Jaa'egi, Jise Nahi Chahiye Wo Is Number Par "NO" Likhkar Bhej De.*
*"9867786928".*
*✳ Allah Ham Ko Is Mahine Me Jyada Se Jyada Nek Amal Karne Ki Taufiq Ataa Kare.*
*🙏🏼 Aap Ki Dua'o Me Hame Bhi Yaad Rakhnaa 🙏🏼.*
•••••••••••••••••••••••••
*♻ Mahe Ramdhan Ki 1 Raat Ke Amal.*
*👉🏼 2⃣ × 2⃣ = 4⃣ Rakaat Namaaz Har Rakaat Me Sure Hamd Ke Baad 1⃣5⃣ Martabaa Sure Qulhowallaah.*
•••••••••••••••••••••••••
*👉🏼 Mahe Ramdhan Ki 1 Raat Ki Dua.*
********************
*🔰 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*♻ Al'hamdo Lil'laahil Lazi Akram'naa Beka Ay'yohash Shahrul Mubaarako Allaahum'maa Fa Qaw'wenaa Alaa Seyaa'menaa Wa Qeyaa'menaa Wa Sabbit Aqdaa'manaa Wan Surnaa Alal Qawmil Kaaferin. Allahummaa An'tal Waahedo Falaa Walada Laka Wa An'tas Samado Falaa Shib'h Laka Wa An'tal Azizo Falaa Yo'izoka Shay'oon Wa An'tal Ganiy'yo Wa A**l Faqiro Wa An'tal Mawlaa Wa A**l Ab'do Wa An'tal Gafuro Wa A**l Muznebo Wa An'tar Rahimo Wa A**l Mukhte'o Wa An'tal Khaaleko Wa A**l Makhluko Wa An'tal Hay'yo Wa A**l May'yeto As Aloka Be Rehmatek, An'tag Fera'li Wa Tar Hamani Wa Tajaawaz An'ni In'naka Alaa Kul'le Shay'in Qadeer.*
*🔰TRANSLATION🔰*
*♻ Shuru Kartaa Hu Mai Allaah Ke Naam Se Jo Maherbaan Aur Raheem Hai.*
*Hamd Hai Oos Allaah Ke Liye Jisne Muje Buzurgi Ataa Ki, Ay Barkat Waale Maahe Ramdhaan Tere Sabab Se Baare ilaahaa ! Pas Tu Muje Taaqat Aur Tawaanaa'i Ataa Farmaa, Roze Rakhne Aur Namaaz Padhne Ke Liye Aur Ham Ko Sebaate Qadam Ataa Farmaa, Aur Garohe Kuf'faar Ke Mukaable Par Ham Ko Kaamiyaabi Inaayat Farmaa, Baare ilaahaa ! Tu 1 Hi Hai Pas Tere Koi Aulaad Nahi Hai Aur Tu Be Niyaaz Hai Pas Teraa Koi Mislo Nazir Nahi Hai, Aur Tu To A'isaa Baa-Izzat Aur Jabar-Dast Hai Ke Tuje Kisi Se Ij'jat Nahi Haasil Hui Aur Tu Hi Gani Hai, Aur Mai Fakiro Mohtaaj Hu Aur Tu Hi Aakaa Hai, Mai To 1 Ab'de Naa-Chiz Hu Aur Tu Hi Maaf Karne Waalaa Hai, Aur Mai To Gunah-Gaar Hu Aur Tu Hi Pa'idaa Karne Waalaa Hai, Aur Mai Pa'idaa Kiyaa Huwaa Hu, Aur Tu Hi Zindaa Karne Waalaa Hai, Aur Mai Mar Jaane Waalaa Hu, Mai Tuj Se Fir Teri Rehmat Kaa Waastaa Dekar Sawaal Kartaa Hu, Muje Maaf Farmaa De Aur Muj Par Rahem Farmaa, Mere Gunaaho Se Dar Guzar Farmaa, Tu Har Shay Par Kudrat Rakhtaa Hai.*
*(📚 Zinatus Saa'emeen).*

*SALWAAT*

17/02/2022

*📚 QUR'AAN E KAREEM 📘*
*🧿 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣3️⃣*
*🧿 SURE MUZZAMMIL, AAYAT - 14 TO 20.*
💧💧💧💧💧💧💧
*⏬ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*1️⃣4️⃣ Jis Din Zameen Aur Pahaad Larazne Lagenge Aur Pahaad Ret Ke Teele Se Bhu're Bhu're Ho Jaa'enge.*
*1️⃣5️⃣ (Ay Makke Waalo) Ham'ne Tumhaare Paas (Oosi Tarah) 1 Rasool (Mohammad s.a.w.w) Ko Bhejaa Jo Tumhaare Maamle Me Gawaahi De Jis Tarah Fir'aun Ke Paas 1 Rasool (Musaa a.s) Ko Bhejaa Thaa.*
*1️⃣6️⃣ To Fir'aun Ne Oos Rasool Ki Naa-Farmaani Ki To Ham'ne Bhi (Oos Ki Sazaa Me) Oos Ko Bahut Sakht Pakdaa.*
*1️⃣7️⃣ To Agar Tum Bhi Naa Maanoge To Oos Din (Ke Azaab) Se Kyo-Kar Bachoge Jo Bach'cho Ko Bu'dhaa Banaa Degaa.*
*1️⃣8️⃣ Jis Din Aasmaan Fat Padegaa (Ye) Oos Kaa Waadaa Puraa Hokar Rahegaa.*
*1️⃣9️⃣ Be'shak Ye Nasihat Hai To Jo Shakhs Chaahe Apne Parwardigaar Ki Raah Ikh'tiyaar Kare.*
*2️⃣0️⃣ (Ay Rasool s.a.w.w) Tumhaaraa Parwardigaar Chaah'taa Hai Ki Tum Aur Tumhaare Cha'nd Saath Ke Log (Kabhi) 2 Teehaa'i Raat Ke Kareeb Aur (Kabhi) Aa'dhi Raat Aur (Kabhi) Teehaa'i Raat (Namaaz Me) Khade Rehte Ho, Aur Khudaa Hi Raat Aur Din Kaa Ach'chhi Tarah An'daajaa Kar Saktaa Hai, Oose Maalum Hai Ki Tum Log Oos Par Puri Tarah Se Haawi Nahi Ho Sakte, To Oos Ne Tum Par Mahar'baani Ki, To Jit'naa Aasaani Se Ho Sake Oot'naa (Namaaz Me) Qur'aan Padh Liyaa Karo, Wo Jaantaa Hai Ki An'kareeb Tum'me Se Baaz Bimaar Ho Jaa'enge Aur Baaz Khudaa Ke Fazl Ki Talaash Me Roo'e Zameen Par Safar Ikh'teyaar Karenge Aur Kuchh Log Khudaa Ki Raah Me Jehaad Karenge, To Jit'naa Tum Se Aasaani Se Ho Sake Padh Liyaa Karo, Aur Namaaz Paabandi Se Padho Aur Zakaat Dete Raho Aur Khudaa Ko Karze Hasnaa Do, Aur Jo Nek Amal Apne Waaste (Khudaa Ke Saam'ne) Pesh Karoge Usko Khudaa Ke Yahaa Beh'tar Aur Silah Me Buzurg Tar Paa'oge Aur Khudaa Se Mag-Ferat Ki Duaa Maango, Beshak Khudaa Badaa Bakhshne Waalaa, Maherbaan Hai.*

*🧿 Alhamdolillah SURE MUZZAMMIL Khatm Huwaa 🔹.*

*SALWAAT*

11/02/2022

*📚 QUR'AAN E KAREEM 📘*
*⏩ SURE MUZZAMMIL, SURA NO. - 73 SHURU HUWAA.*
*🧿 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣3️⃣*
*🧿 SURE MUZZAMMIL, AAYAT - 1 TO 13.*
💧💧💧💧💧💧💧
*⏬ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*1️⃣ Ay (Mere) Chaadar Lapetne Waale (Rasool).*
*2️⃣ Raat Ko (Namaaz Ke Waaste) Khade Raho Magar (Puri Raat Nahi).*
*3️⃣ Thodi Raat, Aa'dhi Raat Yaa Oos Se Bhi Kuchh Kam Kardo.*
*4️⃣ Yaa Kuchh Ba'dhaa Do, Aur Qur'aan Ko Baa-Kaaydaa Tha'har Tha'har Kar Padhaa Karo.*
*5️⃣ Ham An'qareeb Tum Par 1 Bhaari Hukm Naazil Karenge.*
*6️⃣ Is Me Shak Nahi Ki Raat Kaa Ooth'naa Khub (Nafs Kaa) Paamaal Koon, Aur Bahut Thikaane Se Zikr Kaa Waqt Hai.*
*7️⃣ Din Ko To Tumhaare Aur Bahut Bade Bade Ash'gaal Hai.*
*8️⃣ To Tum Apne Parwardigaar Ke Naam Kaa Zikr Karo Aur Sab Se Tut-Kar Oosi Ke Ho Raho.*
*9️⃣ (Wo Hi) Mash'reek Aur Magh'reeb Kaa Maalik Hai Oos Ke Siwaa Koi Maa'abud Nahi To Tum Oosi Ko Kaar-Saaz Banaa'o.*
*🔟 Aur Jo Kuchh Log Bakaa Karte Hai Oos Par Sabr Karo Aur Oon Se Ba-Oonwaane Shaaistaa Alag Tha'lag Raho.*
*1️⃣1️⃣ Muje Oon Juth'laane Waalo Se Jo Daulat-Mand Hai Samaj Lene Do Aur Unko Thodi Si Moh'lat De Do.*
*1️⃣2️⃣ Beshak Hamaare Paas Bediyaa (Bhi) Hai Aur Jalaane Waali Aag (Bhi).*
*1️⃣3️⃣ Aur Gale Me Fasne Waalaa Khaanaa (Bhi) Aur Dukh Dene Waalaa Azaab (Bhi).*

*SALWAAT*

02/02/2022

*🌹 WILADATE IMAM BAQIR (a.s) & MAHE RAJAB MUBARAK 2 ALL 🌹*
*⏩ RASULE KHUDA (s.a.w.w) : SE RIWAYAT HAI JO MAHE RAJAB KI PEHLI RAAT KO ⤵️ YE NAMAZ PADHE.*
*👉 MAHE RAJAB KI 1️⃣ RAAT KI NAMAZ.*
*✳️ BAAD NAMAZE MAGRIB*
*2️⃣ × 🔟 = 2️⃣0️⃣ RAKAAT NAMAZ.*
*➡️ HAR RAKAT ME SURE AL HAMD KE BAAD SURE QULHOWALLAH.*
*➡️ NAMAZ KA SAWAAB.*
*NAMAZ PADHNE WALA AUR USKE KHANDAAN WALE, USKAA MAAL, USKI AWLAAD SALAMAT RAHEGI, AUR OOSE KABR KE AZAAB SE NIJAAT MILEGI AUR P**E SERAAT PAR SE BINA HISAAB BIJLI KI TARAH GUJAR JA'EGA.*

01/02/2022

*📒 QUR'AAN E KAREEM 📚*
*🟠 PAARAA NO. - 2️⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣2️⃣*
*🟠 SURE JINN, AAYAT - 15 TO 28.*
🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸
*✴️ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*1️⃣5️⃣ Aur Rahe Naa-Farmaan To Wo Jahan'num Ke Kunde Bane.*
*1️⃣6️⃣ Aur (Ay Rasool s.a.w.w. Tum Keh'do) Ki Agar Ye Log Sidhi Raah Par Qaayam Reh'te To Ham Jarur Unko Al'gaaro Paani Se Se'araab Karte.*
*1️⃣7️⃣ Taaki Oos Se Unki Aazmaa'ish Kare, Aur Jo Shakhs Apne Parwardigaar Ki Yaad Se Mu'nh Modegaa To Wo Usko Sakht Azaab Me Jonk Degaa.*
*1️⃣8️⃣ Aur Ye Ki Masjeede Khalis Khudaa Ki Hai, To Tum Log Khudaa Ke Saath Kisi Ki Ibaadat Naa Karnaa.*
*1️⃣9️⃣ Aur Ye Ki Jab Oos Kaa Bandaa (Moham'mad s.a.w.w) Ibaadat Ko Khadaa Hotaa Hai To Log Oos Ke Gird Hujum Karke Gire Padte Hai.*
*2️⃣0️⃣ (Ay Rasool s.a.w.w) Tum Keh'do Ki Mai To Apne Parwardigaar Ki Ibaadat Kartaa Hu, Aur Oos Kaa Kisi Ko Sharik Nahi Banaataa.*
*2️⃣1️⃣ (Ye Bhi) Keh'do Ki Mai Tumhaare Haq Me Naa Buraa'i Kaa Ikhtiyaar Rakhtaa Hu Aur Naa Bhalaa'i Kaa.*
*2️⃣2️⃣ (Ye Bhi) Keh'do Ki Muje Khudaa (Ke Azaab) Se Koi Bhi Panaah Nahi De Saktaa Aur Naa Mai Oos Ke Siwaa Kahi Panaah Ki Jagah Dekhtaa Hu.*
*2️⃣3️⃣ Khudaa Ki Taraf Se (Ah'kaam Ke) Pahuchaa Dene Aur Uske Pai'gaamo Ke Siwaa Kuchh Nahi Kar Saktaa, Aur Jis Ne Khudaa Aur Oos Ke Rasool (s.a.w.w) Ki Naa-Farmaani Ki To Oos Ke Liye Yaqi'nan Jahan'num Ki Aag Hai Jis Me Wo Hameshaa Aur Abdul Aabaad Rahegaa.*
*2️⃣4️⃣ Yahaa Tak Ki Jab Ye Log Oon Chizo Ko Dekh Lenge Jin Kaa Oon Se Waadaa Kiyaa Jaataa Hai To Oon Ko Maalum Ho Jaa'egaa Ki Kis Ke Madad-Gaar Kamzor Aur Kis Kaa Shumaar Kam Hai.*
*2️⃣5️⃣ (Ay Rasool s.a.w.w) Tum Keh'do Ki Mai Nahi Jaan'taa Ki Jis Din Kaa Tum Se Waadaa Kiyaa Jaataa Hai Kareeb Hai Yaa Mere Parwardigaar Ne Oos Ki Mud'dat Daraaz Kar Di Hai.*
*2️⃣6️⃣ (Wo Hi) Gai'badaa Hai Aur Apni Gaib Ki Baat Kisi Par Zaahir Nahi Kartaa.*
*2️⃣7️⃣ Magar Jis Paigambar Ko Pasand Farmaa'e To Oos Ke Aage Aur Pichhe Nigeh-Baan (Farishte) Muqar'rar Farmaa Detaa Hai.*
*2️⃣8️⃣ Taaki Dekh Le Ki Oon Hone Apne Parwardigaar Ke Pai'gaamaat Pahuchaa Diye, Aur (Yu To) Jo Kuchh Oon Ke Paas Hai Wo Sab Par Haawi Hai Aur Oos Ne To 1 - 1 Chiz Geen Rakhi Hai.*

*🔶 Alhamdolillah SURE JINN Khatm Huwaa 🔸*

29/01/2022

*📒 QUR'AAN E KAREEM 📚*
*👉 SURE JINN, SURA NO. 72 SHURU HUWAA.*
*🟠 PAARAA NO. - 2️⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣2️⃣*
*🟠 SURE JINN, AAYAT - 1 TO 14.*
🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸
*✴️ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*1️⃣ (Ay Rasool s.a.w.w. Logo Se) Keh'do Ki Mere Paas Wahi Aa'i Hai Ki 1 Jamaat Ne (Qur'aan) Ji Lagaa Kar Sunaa To Keh'ne Lage Ki Ham'ne 1 Ajeeb Qur'aan Sunaa Hai.*
*2️⃣ Jo Bhalaa'i Ki Raah Dikhaataa Hai, To Ham Oos Par Imaan Le Aa'e, Aur Ab Ham Kisi Ko Apne Parwardigaar Kaa Sharik Naa Banaa'enge.*
*3️⃣ Aur Ye Ki Hamaare Parwardigaar Ki Shaan Bahut Badi Hai, Usne Naa (Kisi Ko) Biwi Banaayaa Aur Naa Betaa Beti.*
*4️⃣ Aur Ye Ki Ham Me Se Baaz Be-Gakuf Khudaa Ke Baare Me Had Se Zyaadaa Lagw Baate Bakaa Karte The.*
*5️⃣ Aur Ye Ki Hamaaraa To Khayaal Thaa Ki Aadmi Aur Jeen Khudaa Ki Nisbat Juthi Baat Nahi Bol Sakte.*
*6️⃣ Aur Ye Ki Aadmiyo Me Se Kuchh Log Jin'naat Me Se Baaz Logo Ki Panaah Pakdaa Karte The, To (Oos Se) Unki Sarkashi Aur Badh Gayi.*
*7️⃣ Aur Ye Ki Jai'saa Tumhaaraa Khayaal Hai Wai'saa Hi Unkaa Bhi A'ateqaad Thaa Ki Khudaa Kisi Ko Har'giz Dobaaraa Zindaa Nahi Karegaa.*
*8️⃣ Aur Ye Ki Ham'ne Aasmaan Ko Tatolaa To Oos Ko Bhi Bahut Qawi Nigeh-Baano Aur Sholo Se Bharaa Huwaa Paayaa.*
*9️⃣ Aur Ye Ki Peh'le Ham Wahaa Bahut Se Makaamaat Me (Baate) Sun'ne Ke Liye Bai'thaa Karte The, Magar Ab Koi Sun'naa Chaahe To Apne Liye Sholaa Tai'yaar Paa'egaa.*
*🔟 Aur Ye Ki Ham Nahi Samajte Ke Oos Se Ah'le Zameen Ke Haq Me Buraa'i Maksud Hai, Yaa Unke Parwardigaar Ne Unki Bhalaa'i Kaa Iraadaa Kiyaa Hai.*
*1️⃣1️⃣ Aur Ye Ki Ham Me Se Kuchh Log To Neku-Kaar Hai Aur Kuchh Log Aur Tarah Ke, Ham Logo Ke Bhi To Kai Tarah Ke Firke Hai.*
*1️⃣2️⃣ Aur Ye Ki Ham Samajte The Ki Ham Zameen Me (Reh Kar) Khudaa Ko Har'giz Haraa Nahi Sakte Aur Naa Bhaag Kar Usko Aa'jeez Kar Sakte Hai.*
*1️⃣3️⃣ Aur Ye Ki Ham'ne Hidaayat (Ki Kitaab) Suni To Oon Par Imaan Laa'e, To Jo Shakhs Apne Parwardigaar Par Imaan Laa'egaa To Oos Ko Naa Nuksaan Kaa Kha'uf Hai Aur Naa Zulm Kaa.*
*1️⃣4️⃣ Aur Ye Ki Ham Me Se Kuchh Log To Farmaa Bar-Daar Hai, Aur Kuchh Log Naa-Farmaan To Jo Log Farmaa Bar-Daar Hai Wo To Sidhe Raaste Par Chale.*

*SALWAAT*

28/01/2022

*📕 QURAAN E KAREEM 📔*
*🎴 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣1️⃣*
*🎴 SURE NOOH, AAYAT - 15 TO 28.*
♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️
*🩸 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*1️⃣5️⃣ Kyaa Tum'ne Gau'r Nahi Kiyaa Ki Khudaa Ne 7 Aasmaan Oopar Tale Kyo-Kar Banaa'e ?*
*1️⃣6️⃣ Aur Oosi Ne Oon Me Chaand Ko Noor Banaayaa Aur Suraj Ko Rau'shan Chiraag Banaa Diyaa.*
*1️⃣7️⃣ Aur Khudaa Hi Ne Tum Ko Zameen Se Pai'daa Kiyaa.*
*1️⃣8️⃣ Fir Tum Ko Oosi Me Dobaaraa Le Jaa'egaa, Aur (Qayaamat Me Oosi Se) Nikaal Khadaa Karegaa.*
*1️⃣9️⃣ Aur Khudaa Hi Ne Zameen Ko Tumhaare Liye Farsh Banaayaa.*
*2️⃣0️⃣ Taaki Tum Oos Ke Bade Bade Kushaadaa Raasto Par Chalo Firo.*
*2️⃣1️⃣ (Fir) Nooh (a.s) Ne Arz Ki Parwardigaaraa Oon Logo Ne Meri Naa-Famaani Ki Oos Shakhs Ne Taabe-Daar Banke Jis'ne Oon Ke Maal Aur Awlaad Me Nuksaan Ke Siwaa Faaydaa Naa Pahuchaayaa.*
*2️⃣2️⃣ Aur Oon Hone (Mere Saath) Badi Badi Mak'kaariyaa Ki.*
*2️⃣3️⃣ Aur (Ulte) Keh'ne Lage Ki Apne Maa'abudo Ko Hargiz Naa Chhodnaa Aur Naa Do Ko Aur Naa Sawaa Ko Aur Naa Yagoos O Ya'ook O Nasr Ko Chhodnaa.*
*2️⃣4️⃣ Aur Oon Hone Bahu-Tero Ko Gum'raah Kar Chhodaa Aur Tu (Oon) Zaalimo Ki Gumraahi Ko Aur Badhaa De.*
*2️⃣5️⃣ (Aakhir) Wo Apne Gunaaho Ki Ba-Dau'lat (Peh'le To) Dubaa'e Ga'e Fir Jahan'num Me Joke Ga'e To Oon Logo Ne Khudaa Ke Siwaa Kisi Ko Apnaa Madad-Gaar Naa Paayaa.*
*2️⃣6️⃣ Aur Nooh (a.s) Ne Arz Ki Parwardigaaraa (Oon) Kaafiro Me Se Roo'e Zameen Par Kisi Ko Basaa Huwaa Naa Reh'ne De.*
*2️⃣7️⃣ Kyo'ki Agar Tu Oon Ko Chhod Degaa To Ye (Fir) Tere Bando Ko Gum'raah Karenge Aur Un'ki Awlaad Bhi Bas Gunah-Gaar Aur Kai Kaafir Hi Hogi.*
*2️⃣8️⃣ Parwardigaaraa Muj'ko Aur Mere Maa Baap Ko Aur Jo Mo'amin Mere Ghar Me Aa'e Un'ko Aur Tamaam Imaan-Daar Mardo Aur Mo'aminaa Aurto Ko Bakhsh De Aur (Oon) Zaalimo Ki Bas Tabaahi Ko Aur Jyaadaa Kar.*

*🛑 Alhamdolillah SURE NOOH Khatm Huwaa ♦️.*

*SALWAAT*

25/01/2022

*📕 QURAAN E KAREEM 📔*
*▶️ SURE NOOH, SURA NO. 71 SHURU HUWAA.*
*🎴 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣1️⃣*
*🎴 SURE NOOH, AAYAT - 1 TO 14.*
♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️
*🩸 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●
*1️⃣ Ham'ne Nooh (a.s) Ko Uski Qau'm Ke Paas (Paigambar Banaa Kar) Bhejaa, Qabl Uske Ki Unki Qau'm Par Dard-Naak Azaab Aa'e Unko Oos Se Daraa'e.*
*2️⃣ To (Nooh a.s Apni Qau'm Se) Keh'ne Lage, Ay Meri Qau'm Mai To Tum'he Saaf Saaf Daraataa Aur Samjaataa Hu.*
*3️⃣ Ki Tum Log Khudaa Ki Ibaadat Karo Aur Oosi Se Daro Aur Meri Itaa'at Karo.*
*4️⃣ Khudaa Tumhaare Gunaah Bakhsh Degaa Aur Tum5he (Mau't Ke) Muqar'rar Waqt Tak Baaki Rakhegaa, Beshak Jo Khudaa Kaa Muqar'rar Kiyaa Huwaa Waqt Aa Jaataa Hai To Pichhe Hataayaa Nahi Jaa Saktaa Agar Tum Samajte Hote.*
*5️⃣ (Jab Logo Ne Naa Maanaa To) Arz Ki Parwardigaaraa Mai Apni Qau'm Ko (Imaan Ki Taraf) Baraabar Bulaataa Rahaa.*
*6️⃣ Lekin Wo Mere Bulaane Se Aur Jyaadaa Gurezi Karte Rahe.*
*7️⃣ Aur Mai'ne Jab Unko Bulaayaa Ki (Ye Tawbaa Kare Aur) Tu Un'he Maaf Kar'de To Oon Hone Apne Kaano Me Ungliyaa De Li Aur (Muj'se Chhipne Ko) Kapde Odh Liye Aur Ad Ga'e Aur Bahut Shid'dat Se Akad Bai'the.*
*8️⃣ Fir Mai'ne Unko Beel Ai'laan Bulaayaa.*
*9️⃣ Unko Zaahir Ba-Zaahir Samjaayaa Aur Unki Poshidaa Bhi Farmaa'ish Ki.*
*🔟 Ki Mai'ne Oon Se Kahaa Apne Parwardigaar Se Mag'ferat Ki Duaa Maango, Beshak Wo Badaa Bakhshne Waalaa Hai.*
*1️⃣1️⃣ (Aur) Tum Par Aasmaan Se Muslaa-Dhaar Paani Barsaa'egaa.*
*1️⃣2️⃣ Aur Maal Aur Awlaad Me Tarak'ki Degaa Aur Tumhaare Liye Baag Banaa'egaa Aur Tumhaare Liye Nehre Jaari Karegaa.*
*1️⃣3️⃣ Tum'he Kyaa Ho Gayaa Hai Tum Khudaa Ki Azmat Kaa Jaraa Bhi Khayaal Nahi Karte ?*
*1️⃣4️⃣ Haalaaki Oosi Ne Tum Ko Tarah Tarah Kaa Pai'daa Kiyaa.*

*SALWAAT*

22/01/2022

रसूले खुदा (स.अ.व.व) :
अगर तुम अल्लाह पर तवक्कुल (भरोसा) करते हो तो तुम्हे ऐसे रोज़ी देता है जैसे परीन्दो को देता है, सुब्ह खाली पेट होते है और शाम को पेट भरा होता है.
(मीज़ानुल हीकमह जील्द - 4).

रसूले खुदा (स.अ.व.व) :
जब तुमने दुकान खोली और माल फैलाकर बैठे हो तो जो तुम्हारे ज़ीम्मे था baithhe वो कर चुके, अब बाकी खुदा के ज़ीम्मे है, उसपर तवक्कुल करो.
(तेहज़ीबुल ईस्लाम पेज - 394)

*رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ*

*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ*
*وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*

20/01/2022

*📗 QUR'AAN E KAREEM 📚*
*🌲 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣0️⃣*
*🌲 SURE MA'ARIJ, AAYAT - 23 TO 44.*
♻️♻️♻️♻️♻️♻️♻️
*✳️ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*2️⃣3️⃣ Jo Apni Namaaz Kaa iltezaam Rakhte Hai.*
*2️⃣4️⃣ Aur Jin'ke Maal Me 1 Muqar'rar His'saa Hai.*
*2️⃣5️⃣ Maangne Aur Naa Maangne Waale Ke Liye.*
*2️⃣6️⃣ Aur Jo Log Roze Jazaa Ki Tasdeek Karte Hai.*
*2️⃣7️⃣ Aur Jo Log Apne Parwardigaar Ke Azaab Se Darte Rehte Hai.*
*2️⃣8️⃣ Beshak Unko Parwardigaar Ke Azaab Se Be-Khauf Honaa Chaahiye.*
*2️⃣9️⃣ Aur Jo Log Apni Sharm'gaaho Ki Hifaazat Karte Hai.*
*3️⃣0️⃣ (Apni Biwiyo Aur Apni Lau'ndiyo Ke Siwaa Se) To Oon Logo Ko Hargiz Malaamat Nahi Ki Jaa'egi.*
*3️⃣1️⃣ To Jo Log Oon Ke Siwaa Aur Ke Khwaast-Gaar Ho To Ye Hi Log Had Se Badh Jaane Waale Hai.*
*3️⃣2️⃣ Aur Jo Log Apni Anaamato Aur Ahe'do Kaa Lehaaz Rakhte Hai.*
*3️⃣3️⃣ Aur Jo Log Apni Shahaa'dato Par Qaayam Rehte Hai.*
*3️⃣4️⃣ Aur Jo Log Apni Namaazo Kaa Khayaal Rakhte Hai.*
*3️⃣5️⃣ (Behisht Ke) Baago Me Ij'jat Se Rahenge.*
*3️⃣6️⃣ To (Ay Rasool s.a.w.w) Kaafiro Ko Kyaa Ho Gayaa Hai, Ki Tumhaare Paas Giroh Giroh,*
*3️⃣7️⃣ Daahine Se Baaye Se Dau'de Chale Aa Rahe Hai.*
*3️⃣8️⃣ Kyaa Oon Me Se Har Shakhs Oos Kaa Muta-Man'ni Hai Ki Chai'n Ke Baag (Behisht) Me Daakhil Hogaa ?*
*3️⃣9️⃣ Hargiz Nahi, Ham'ne Unko Jis (Gandi) Chiz Se Pai'daa Kiyaa Ye Log Jaante Hai.*
*4️⃣0️⃣ To Mai Mashriko Aur Magribo Ke Parwardigaar Ki Kasam Khaataa Hu Ki Ham Jarur Is Baat Ki Kudrat Rakhte Hai.*
*4️⃣1️⃣ Ki Un'ke Badle Un'se Behtar Log Laa Basaa'e Aur Ham Aajeez Nahi Hai.*
*4️⃣2️⃣ To Tum Un'ko Chhod Do Ki Baatil Me Pade Khel'te Rahe, Yahaa Tak Ki Jis Din Kaa Un'se Waadaa Kiyaa Jaataa Hai Un'ke Saam'ne Aa Mau'jud Ho.*
*4️⃣3️⃣ Oosi Din Ye Log Kabro Se Nikal Kar Is Tarah Dau'denge Goyaa Wo Kisi Ju'nd Ki Taraf Dau'de Chale Jaate Hai.*
*4️⃣4️⃣ (Nidaamat Se) Un'ki Aan'khe Juki Hui Hongi Oon Par Roos'waai Chha'i Hui Hogi, Ye Wo Hi Din Hai Jis'kaa Oon Se Waadaa Kiyaa Jaataa Thaa.*

*🌲 Alhamdolillah SURE MA'ARIJ Khatm Huwaa ✳️.*

*SALWAAT*

18/01/2022

*📗 QUR'AAN E KAREEM 📚*
*👉 SURE MA'ARIJ, SURA NO. 70 SHURU HUWAA.*
*🌲 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣0️⃣*
*🌲 SURE MA'ARIJ, AAYAT - 1 TO 22.*
♻️♻️♻️♻️♻️♻️♻️
*✳️ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*1️⃣ 1 Maangne Waale Aane Waale Azaab Ki Maang Ki.*
*2️⃣ Kaafiro Ke Liye Jis Ko Koi Taal Nahi Saktaa.*
*3️⃣ Jo Darje Waale Khudaa Ki Taraf Se (Hone Waalaa) Thaa.*
*4️⃣ Jis Ki Taraf Farishte Aur Roohul Ameen Chadhte Hai (Aur Ye) 1 Din Me (Itni Musaafat Tay Karte Hai) Jis Kaa Andaajaa Pachaas Hazaar (50,000) Baras Kaa Hogaa.*
*5️⃣ To Tum Ach'chhi Tarah (Oon Takleefo Ko) Bardaast Karte Raho.*
*6️⃣ Wo (Qayaamat) Unki Nigaah Me Bahut Door Hai.*
*7️⃣ Aur Ham Unhe Kareeb Dekhte Hai.*
*8️⃣ Jis Din Aasmaan Pigle Huwe Taambe Kaa Saa Ho Jaa'egaa.*
*9️⃣ Aur Pahaad Dhunn Ke Huwe Oon Kaa Saa.*
*🔟 Koi Dost Kisi Dost Ko Naa Puchhegaa.*
*1️⃣1️⃣ Baa-Wajood Ye Ki 1 Dusre Ko Dekhte Honge, Guneh-Gaar To Aarzu Karegaa Ki Kaash Oos Din Ke Azaab Ke Badle Oos Ke Beto.*
*1️⃣2️⃣ Aur Uski Biwi Aur Uske Bhaai.*
*1️⃣3️⃣ Aur Uske Kunbe Ko Jis Me Wo Rehtaa Thaa.*
*1️⃣4️⃣ Aur Jit'ne Aadmi Roo'e Zameen Par Hai Sab Ko Le Le Aur Usko Chhut-Kaaraa De De.*
*1️⃣5️⃣ (Magar) Ye Hargiz Naa Hogaa, (Jahan'num Ki) Wo Bhadakti Aag Hai.*
*1️⃣6️⃣ Ki Khaal Ko Ooghed Kar Rakh Degi.*
*1️⃣7️⃣ (Aur) Oon Logo Ko Apni Taraf Bulaati Hogi Jin'ho Ne (Din Se) Pith Feri Aur Mu'nh Modaa.*
*1️⃣8️⃣ Aur (Maal) Jamaa Kiyaa Aur Baandh Kar Rakhaa.*
*1️⃣9️⃣ Beshak Insaan Badaa Laalchi Pai'daa Huwaa Hai.*
*2️⃣0️⃣ Jab Oose Takleef Chhu Bhi Gayi To Gabh'raa Gayaa.*
*2️⃣1️⃣ Aur Jab Oose Jaraa Faraakhi Haasil Hu'i To Bakhil Ban Bai'thaa.*
*2️⃣2️⃣ Magar Jo Log Namaaz Padhte Hai.*

*SALWAAT*

15/01/2022

*📘 QUR'AAN E KAREEM 📚*
*🧿 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 6️⃣9️⃣*
*🧿 SURE HAQQA, AAYAT - 35 TO 52.*
🔹🔹🔹🔹🔹🔹🔹
*⬇️ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*3️⃣5️⃣ To Aaj Naa Oos Kaa Yahaa Koi Gam-Khwaar Hai.*
*3️⃣6️⃣ Aur Naa Ye Peep Ke Siwaa (Uske Liye) Kuchh Khaanaa Hai.*
*3️⃣7️⃣ Jis Ko Gunaah-Gaaro Ke Siwaa Koi Nahi Khaa'egaa.*
*3️⃣8️⃣ To Muje Oon Chizo Ki Kasam Hai Jo Tum Ko Dikhaa'i Deti Hai.*
*3️⃣9️⃣ Aur Jo Tum He Nahi Sujaa'i Deti.*
*4️⃣0️⃣ Ki Beshak Ye (Qur'aan) 1 Mo'azziz Farishte Kaa Laayaa Huwaa Pai'gaam Hai.*
*4️⃣1️⃣ Aur Ye Kisi Shaayar Ki Took-Bandi Nahi, Tum Log To Bahut Kam Imaan Laate Ho.*
*4️⃣2️⃣ Aur Naa Kisi Kaahin Ki (Khayaali) Baat Hai, Tum Log To Bahut Gau'r Karte Ho.*
*4️⃣3️⃣ Saare Jahaan Ke Parwardigaar Kaa Naazil Kiyaa Huwaa (Qalaam) Hai.*
*4️⃣4️⃣ Agar Rasool (s.a.w.w) Hamaari Nisbat Koi Juth Baat Banaa Laate.*
*4️⃣5️⃣ To Ham Oon Kaa Daahinaa Haath Pakad Lete.*
*4️⃣6️⃣ Fir Ham Jarur Unki Gardan Oodaa Dete.*
*4️⃣7️⃣ To Tum Me Se Koi Oon Se (Muje) Rok Naa Saktaa.*
*4️⃣8️⃣ Ye To Parhez-Gaaro Ke Liye Nasihat Hai.*
*4️⃣9️⃣ Aur Ham Khub Jaante Hai Ki Tum Se Kuchh Log (Oos Ke) Juth'laane Waale Hai.*
*5️⃣0️⃣ Aur Is Me Shak Nahi Ki Ye Kaafiro Ki Hasrat Kaa Baa'is Hai.*
*5️⃣1️⃣ Aur Is Me Shak Nahi Ki Ye Yaqinan Bar'haq Hai.*
*5️⃣2️⃣ To Tum Apne Buzurg Parwardigaar Ki Tasbeeh Karo.*

*🧿 Alhamdolillah SURE HAAQQA Khatm Huwaa 🔹.*

*SALWAAT*

Address

225/A, ROOM NO. 10, Kurla(w)
Mumbai
400070

Telephone

+919867786928

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Karwane Aza Tours posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Karwane Aza Tours:

Share

Category